paki ke masail
8 Tarah Ki Cheezen Aisi Hain Jin Se Wazu Toot Jata Hai:
(1) Agle aur pichhle private part se natural way me kisi cheez ka exit hona, for example: Peshaab, Pakhana, Hawa, Mani, Mazi, Wadi otherwise. Wadi: Peshaab ke baad agle private part se nikalne wali white cheez ko kahte hain.
hawa ke bare men Bhukari Shareef ki ek riwayat me is tarah aaya hai ki: Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya ki: “Masjid me namaz ka intizar karne wale ko namaz ka sawaab milta rahta hai, jab tak us ko “Hadas” na jo jaye, yani us ka wazu toot na jaye”, ek baahar ke aadmi ne Abu Hurairah se poochha ki yah “Hadas” kya hai? unhono ne bataya hawa ka niklna. (Sahih Bukhari: 176)
(2) unnatural way me agle ya pichhle private part se kisi cheez ka nikalna, for example: aurat ko period ke otherwise belling hona, keeda, kankar wgairah ka niklna.
(3) Body ke kisi part se nijasat ya napaki ka niklna, for example: khoon, peep, mawaad, ya bimari ki wajah se napak pani.
(4) Muh bhar ke “Qai” karna. "Rasulullah (S A W) ko qai ya ulti huyi jis ki wajah se aap ne wazu kia, pata chala ki qai ya ulti se wazu toot jata hai. (Sunanut Tirmizi: 87)"
(5) Sahara ya tek laga kar sona
(6) Behoshi, Pagalpan, aur Nasha.
(7) Ruku Sajda wali Namaz me zor zor se hansna.
(8) Musharte Fahisha, yani bila kisi parde ya rukawat ke private part ka private se milana, chahe mard ka aurat se ho, ya mard ka mard se, ya aurat ka aurat se.
0 comments :
Contact
statistics
Google Plus
Facebook
Twitter
Post a Comment